Usse mile hue ab ek arsa sa ho gya hai,
uski taswir mano ek dhundli yaad bn kar reh gyi hai mann k kisi kone me,
yesa nhi hai ki mujhe uski yaad nahi aati,
bas kabhi kabhi khud hi bhul jane ka dikhawa kar leti hu,
kyuki sayad kuch yaade cehre par hasi aur aankho me nami dono le aati hai,
aree jab yaad aati hai na uski tab mai khi v rahu mujhe hosh nahi rehta,
yaado k samader me dubh kar ya toh pagalo ki tarah khud hi muskurati rehti hu
ya kabhi ro hi padhti hu,ha pagal toh mai hu par sayad woh mujhse v jyada pagal thi,
thodi sarphiri si thi,par ajaad thi,duniya k zaanjiro me kabhi bandhi nhi rehti thi,
khul k udhna aata tha usse,khule aasman me dhaudna janti thi woh,
khud toh din bhar muskurati phudakti rhti thi
aur saath me apni aas pass ki berang duniya me v rang bhar diya karti thi,
usse kisi ka darr nahi tha,
usse na hi kisi ki parwah,
par najane woh kaha kho gyi,
ha sayad kuch samay tak mai usse pura bhul chuki thi,
par jab sacchai ka ahsas hua,
bht dhundha maine usse,
par tab tak bht der ho chuki thi,
woh mujhe aur mai usse kafi dur aa chuki thi,
najnane iss duniya k kaydo hi bhid me,
samasayo k bhoj k tale,
wasulo ki janjiro me,
mera bachpan kaha ho gya…
kaha usne apni aakhri sans li..
kaha usne apna dam todh diya..
aaj v mujhe uski bahut yaad aati hai..
Category: Uncategorized
Kyu apko ky lga
Raat ki kaali ghataon me,
halki sard ki mithi hawao me,
saare chaand taare,
aandhre k aashiyane me,
aankhe meech,badal ki chadar khich so gye,
bhala yeh koi baat hui,
na koi khanak hui,na koi harqat,
na darwaje pe dastak di,
na jharokhe pe koi aahat hui,
bas utr aaye jamin pe,
aree hum v unse ruthe the,
socha tha rhnge khafa khafa,
par unko kaha tha yeh manzur,
maan me bna rkhi thi kai saazishe,
bas chle aae humse milne,
aree unki issi ada ko dekh,
main zara ky muskurai,
unhone v leli aangdai,
kuch hi palo me ho gye aankho se ojhal,
hmari yeh mulakat v na hui mukammal,
ab bas yeh andheri raat hai,
na woh paas hai,na unki aahat,
ha bas ek aas hai,
ki hum ruthe toh woh aaenge,
krnge hum v ek saath baith kr kai baat,
kabhi aaegi sayad woh halki si mithi si raat,
jab jham jham giregi barsaat,
ha barsaat,kyu aapko ky lga….
Fursat
aaunga milne phir kabhi,fursat me
kehkar woh ruksat hua,
mano kehni thi kai baate,
dafn the khi raaz,
par kabhi alfaaz,
toh kabhi kambakht yeh waqt ki suiyan kam padh jati,
yun toh yeh raate mano kathti nahi,
par kal jab unse khwaabo me milne ki khwahish hui,
chaand taaro tak ne kai saajish ki,
na jane kab nikal aaya ujala,
raat ki chadar khol kab uth gya sawera,
phir hum furqat hue,
na hum qurbat hue,
yeh unka fursat toh ban gya hai kisi aayat ki tarah,
jo kabhi bas aata hai waqt ki inaayat ki tarah.
ha..yeh unka fursat..jo khwaabo khayalo me v aata hai inaayat ki tarah
kashmakash
na jane woh kaisi kashmakash thi,
unhe lga hmari glti thi,
hume lga unki,
woh v humse ruth gye,hum v unse,
na unhe jhukna tha,
na hame manana tha,
khamosi ki awaaj mano kaano ko chir rhi thi,
whi ahankar ko lga woh v apni jagah bilkul sahi thi,
dil ne kai baar kaha,
chlo bhawnao me behh jao,
maan lo ha thi meri glti,
bhul jao bigri baat jldi,
whi ahankar ko v kaha jhukna tha,
usse v apne raaste me aage bdhna tha,
issi kashmakash me,hum tote,
woh bikhre,
bhar gyi charo or tanhayin,
na jane woh kaisi kashmakash thi
baho me kami bhar di,
zindagi me ek nami si bhar di…
Zindagi v ek ajeeb dastaan hai,
kabhi kabhi na bayan hoti hai,
aur kabhi na bayaan ho kar v bahut kuch bayan kar jati hai..

