Usse mile hue ab ek arsa sa ho gya hai,
uski taswir mano ek dhundli yaad bn kar reh gyi hai mann k kisi kone me,
yesa nhi hai ki mujhe uski yaad nahi aati,
bas kabhi kabhi khud hi bhul jane ka dikhawa kar leti hu,
kyuki sayad kuch yaade cehre par hasi aur aankho me nami dono le aati hai,
aree jab yaad aati hai na uski tab mai khi v rahu mujhe hosh nahi rehta,
yaado k samader me dubh kar ya toh pagalo ki tarah khud hi muskurati rehti hu
ya kabhi ro hi padhti hu,ha pagal toh mai hu par sayad woh mujhse v jyada pagal thi,
thodi sarphiri si thi,par ajaad thi,duniya k zaanjiro me kabhi bandhi nhi rehti thi,
khul k udhna aata tha usse,khule aasman me dhaudna janti thi woh,
khud toh din bhar muskurati phudakti rhti thi
aur saath me apni aas pass ki berang duniya me v rang bhar diya karti thi,
usse kisi ka darr nahi tha,
usse na hi kisi ki parwah,
par najane woh kaha kho gyi,
ha sayad kuch samay tak mai usse pura bhul chuki thi,
par jab sacchai ka ahsas hua,
bht dhundha maine usse,
par tab tak bht der ho chuki thi,
woh mujhe aur mai usse kafi dur aa chuki thi,
najnane iss duniya k kaydo hi bhid me,
samasayo k bhoj k tale,
wasulo ki janjiro me,
mera bachpan kaha ho gya…
kaha usne apni aakhri sans li..
kaha usne apna dam todh diya..
aaj v mujhe uski bahut yaad aati hai..
